main jab bhi ghar pe aati hun bahut si chizen lati hun aur un chizon mein akasr khud ko rakh kar bhul jati hun pata us waqt chalta hai ki jab takiye pe rakhne ko mujhe sar hi nahin milta mayassar khwab kaise hon ki aankhen hi nahin hotin thakan se chur hathon ki main jab jab siskiyan sunti hun apni kirchiyan chunti hun pahlu mein kahin dil bhi nahin milta mujhe bas panw milte hain jo panw panw chalte mujhe le jate hain ek aise kamre mein jahan par koi mera jism odhe so raha hai ye kis ne suiyan si ruh mein meri chubho di hain main khud ko tod deti hun wahin par chhod deti hun so bas chup chap ghar ki sidhiyon par baith jati hun hawaen bain kartin jab barabar se guzarti hain pakad kar hath un ka pas hi apne bithati hun nae kuchh dip raushan kar ke khud bhi muskuraati hun zara si ek aurat hun diyon ki lau mein lekin jagmagati hun