dua

dal de meri sada se khalbali ahbab mein
bhar de barq-e-zindagi un ke dil-e-betab mein

ya-rab un ki chashm-o-dil ko bhi dikha aisi jhalak
aks jis aalam ka hai us dida-e-be-khwab mein

zindagi ke sagharon mein muntaqil kar de unhen
gardishen tufan ne dekhi hain jo girdab mein

josh ubharne ka ho kash itna hi ahl-e-asr mein
jis qadar paiham chamak hai kirmak-e-shab-tab mein

kash utni hi tadap jazbaat mein paida karen
jis qadar dariya ki maujon mein hai ya simab mein

mushkilen is tarah hal hoti hain josh-e-azm se
bah nikalti hain chatanen jis tarah sailab mein

garche dil thande hon taham un mein bhar sakte hain hum
phailne ki hai jo quwwat chadar-e-mahtab mein

dil ko garmaen to har zarre se us ke ho ayan
jo hararat hai shua-e-mahr-e-alam-tab mein

wo tabiat murda hai pazhmurda hai jis mein na ho
tazgi jo sabza mein hai ya gul-e-shadab mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close