nazm

raat andheri thi sunsan thi aur main
tang-o-tarik galiyon se hota hua

ajnabi se khayalon mein khoya hua
ek aise nagar ja ke pahuncha jahan

sarsaraate darakhton ne phunkarti wahshaton ne mera khair-maqdam kiya
chand lamhe khamoshi mein guzre magar

phir achanak kahin se koi naghma-e-gham sunai diya
meri nazren sada ke ta'aqub mein pahunchin bahut dur tak

aur girta sanbhalta mughanni talak main pahunch hi gaya
pas hi us ke thi ek qindil jalti hui

khak ke ek tude pe chadar shagufta se phulon ki thi
aur bhi an-ginat khak ke dher the

main ki kuchh bolna chahta tha magar
us ne meri taraf kuchh tawajjoh na ki

jaane kya baat thi
phir sahar ho gai

aur main ek goshe mein gum-sum yahi sochta rah gaya
kis qadar jaan-faza hai yahan ki faza

kyon na har roz aata rahun main yahan
ek din is nagar mein hamesha hamesha ko aana hi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close