wo paiwasta nigahen apne sine mein utar jaen tarasti aatma ko lamha-bhar to chain aa jae bikharti saaten phir ek nuqta mein simat jaen machalti chandi kohsar ke daman pe lahrae falak ke nilgun sagar sarapa nur ban jaen magar main ne suna hai chandni jab yun utarti hai to nile paniyon mein gunjti maujen ulajhti hain ujale tirgi se aa lipatte hain to ujle pairahan bhi bhig jate hain kahin aisa na ho koi ubharti mauj bal khati daman bhigo de aur main mahrumiyon ki kashtiyon mein sahilon se dur ho jaun ye khadsha barmala lekin wo sharmili nigahen rahat-e-jaan hain simatti hain to kale paniyon ka khauf badhta hai bikharti hain to shoale se lapakte hain wo yakh-basta nigahen sard raaton ki tarah mere lahu ki chandni se khwab ki surat gurezan tah-ba-tah tarikiyon mein raushni ki ek karan jaise bipharti lahar ke girdab mein be-baadban kashti kisi ka shana-e-sahra mein bahta khub-surat phul murjhane se pahle dil-e-girafta khwahishon mein zard patton si udasi hasraten takmil ki jhankar se aari muqaddar khun-ashami