jhumar

saheli yun to kuchh kuchh sanwle se hain mere sajan
magar teri qasam behad rasile hain mere sajan

jo main kahti hun us ko muskura kar man jate hain
bahut pyare bade hi bhole-bhaale hain mere sajan

main un se prem karti hun bhala main kya bataungi
sakhi tu bol tujh ko kaise lagte hain mere sajan

ba-zahir wo dikhai dete hain masum duniya ko
magar andar se mastane rangile hain mere sajan

naha dho kar main apni mang jab sindur se bharti hun
to jaane zer-e-lab kyun muskuraate hain mere sajan

khule baalon ki khushbu dil ko matwala banati hai
mera juda ye kah kar khol dete hain mere sajan

chhupa leti hun chehra us ghadi main laj ke mare
mujhe jab sej par apni bulate hain mere sajan

na mujh se dil sambhalta hai na aanchal hi sambhalta hai
suhane git kyun raaton ko gate hain mere sajan

mujhe pardes se har bar gahna la ke dete hain
saheli mujh se behad pyar karte hain mere sajan

kai din se musalsal dekhti hun un ko sapne mein
papihe sach bata kya aane wale hain mere sajan

chamakta hai mere mathe pe jhumar aaj kyun jaise
khushi ka chand ban kar ghar mein aae hain mere sajan

sawere se bahut bechain hun ghabra rahi hun main
sakhi pardes mein kya jaane kaise hain mere sajan

koilya! dil mein teri kuk ab nashtar chubhoti hai
zamana ho gaya hai mujh se bichhde hain mere sajan

ghata phir jhum kar sawan ki aai mor phir bola
mere sajan ab aa jao ki jhulen bagh mein jhula


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close