gyan dhyan ke ped ke niche gautam ki si aalti-palti mare baitha soch raha hun jag kya shai hai dukh kya hai jag jiwan kya hai gautam annyae ka bairi gautam jo bhagwan bana gautam jo bhuka pyasa tha jis ka pahla gyan yahi tha bhuka pyasa koi manush bhi kisi gyan ki thah na pae gautam raj-mahal ka pala jis ke sainkadon chaakar bhikshu chhupe chhupae har pal us ko dekh rahe the pahli tapasya khatm hui to sainkadon chaakar bhag ke pahunche gautam apne chaakar bhikshu dekh ke khush tha taza phalon ka ras pi kar phir gyan dhyan mein dub gaya gyan dhyan ke ped ke niche gautam ki si aalti-palti mare baitha soch raha hun pahli tapasya khatm hui to kaun sa chaakar kaun sa bhikshu phal-ras ki kuchh bunden dega duji tapasya kaise hogi