ye gate zalzale ye nachte tufan ke dhaare hawa ki niyyaton se be-khabar mallah bechaare wo tufanon ke hal chalne lage sayyal kheti mein wo kashti aa ke dubi gauharin qatron ki reti mein wo tutin mauj ki shaffaf diwaren safinon par wo phir lahren ubhar aain iradon ki jabinon par wo takrane lagi aawaz nile aasmanon se wo khatt-e-rahguzar par jal uthin shamen taranon se hawaen tham nahin saktin talatum ruk nahin sakte safine hain ki tufan ke thapede khae jate hain magar mallah git apne barabar gae jate hain hain kitne gham ki jin ki mai surur-angez hoti hai hain kitne git jin ki lau hawa se tez hoti hai khincha ho jin ka khatt-e-rahguzar tufan ke dhaaron par badi mushkil se un ko nind aati hai kinaron par