mere logo dukh se samjhauta na karna warna dukh bhi kadwahaton ki tarah tumhaare zaiqe ka hissa ban jaega tum dukh ke bare mein ghaur karna us ki mahiyat jaanna us ki tum drawing karna aur sar jod kar us taswir se baaten karna gali ke bahar maidanon mein kheton mein ghar ki chhaton ke upar har taraf baaten karna dukh ki aane wale sukh ki mere logo dukh ko jab pahchanoge to us ka qarz utaroge ek ek paisa jama karna sukh ki khatir hathiyar banana zehnon mein taswiron mein tahriron mein phir dukh ke aage dat jaana aur aisi diwar banna jis ki tayyari mein kafi din lage hon kafi log lage hon sari khubiyan us diwar mein hon sab sailabon ke aage dat jaane ki mere achchhe logo kya tum ne socha hai ki diwaren bhi nangi ho jati hain kuchh inton ke gir jaane se tum soch samajh ke apne sangi sathi banana inton ko girne na dena dhimi aanch mein dhime dhime baaten karna sukh ki sukh ki tum mein jo sab se achchhi baaten karega wahi tumhaara sathi hoga wahi tumhaara suraj hoga mere logo dukh ke dinon mein suraj ke raste par chalna us ke dubne ubharne ke manzar par ghaur karna mere logo jhil ki manind chup na rahna baaten karna chalte rahna dariya ki rawani banna mere logo dukh se kabhi samjhauta mat karna hanste rahna dukh ke ghode ki lagamon ko pakad kar hawa se baaten karna uncha udna