dikhti haddiyan kahti hai aaram karo ab dil kahta hai abhi nahin abhi to kaam pada hai sab magar ek aur hi boli bolta hai dimagh pahle kaun sa tir mar liya tha aap ne jo ab phir chale hain jauhar dikhane saraute ka don khote aur sarshaar ka khudai faujdari bhi tadapte honge qabr mein pade pade aap ki be-qarariyan dekh kar duniya hi to badal dali aap ne apni tahriron aur taqriron se aur kya kahne hain aap ki siyasat ke soton ko jaga diya aap ne zer-daston ko utha diya zabardaston ko gira diya aap ne sach-much ka inqilab hi to barpa kar ke rakh diya aap ne chhod jaane dijiye bahut ho gai janab sunahre harfon mein likha ja chuka hai aap ka nam an-likhi tarikh mein aap wo hero hain koi git nahin gata jis ke wo gumnam sipahi hain jise sirf aasman ki aankh ne dekha hota hai dad-e-shujaat dete agar aap ke hathon waqai koi achchha kaam sarzad ho gaya tha to yaqinan pata hoga us ka khuda ko wo is ka zarur ajr dega aap ko aur sabr se badh kar kya ho sakta hai ajr sabr kijiye zara dukhti haddiyon ki bhi sun lijiye zara is khana-kharab-e-dil ki man kar hi to aap hue hain khana-kharab hamesha bahkaya hai us ne aap ko ghalat-salat raston par chalaya hai aap ko jahan chup rahne mein maslahat thi wahan bolne par uksaya hai aap ko jab hath badha kar jam uthane ka waqt tha to inkisari ke chakkar mein phansaya hai aap ko zara apne badan se pochhiye apni umr aur phir puchh kar dekhiye dil se aap sattar ke hain na magar badan kahe ga sal aur dil bataega chaalis sal is dil par khun ki gulabi ne huliya bigad kar rakh diya hai achchhe-bhale insan ka padhe-likkhe sharif aadmi ko dhakel diya hai siyasat ke qassab-khane mein bhai jis ka kaam usi ko saje aur kare to thenga baje aap kyun pareshan hote hain har bari khabar par waise kabhi khair ki khabar bhi aai hai watan-e-aziz se yaad nahin raha aap ke to murshid bhi kahte the bar bar wo kaam hamari zimmedari nahin hota jis ki anjam-dahi ka saman na de khuda umar-faruq ko zeb deta tha fikrmand hona furaat ke kinare bhuk se mar jaane wale kutte ke liye is liye ki wo the khalifa-a-waqt to kan mein khwah-makhwah aap to kotwal bhi nahin kisi shahr ke aur chale hain pure malak ki fikr karne balki sari insaniyat ka gham pal rakha hai aap ne to main ne pahle bhi kaha shairon ki bak bak na suna karen aap ziyaada ba-qaul-e-khuda wo to aadi hain ghalat-bayani ke haha kanta chubhe kisi ko tadapte hain hum amir sare jahan ka dard hamare jigar mein hai aap ko auron ki padi hain pahle apni to nabed len aap charity begins at home janab aaiye sukun se baithe do ghadi ziyaada der khade rahne se aur badh jaega ghutne ka dard kya khayal hai sabz chae ke bare mein ya phir pi lijiye thanda mitha ruh-afza sine aasmani mausiqi bakh aur motzart ki dhila chhodiye zara aasab ko so jaiye so jaiye nind aa jae agar lori dun aap ko raat-din gardish mein hain sat aasman ho rahega kuchh na kuchh ghabraen kya