gharibon ki faqa-kashon ki sada hai mare ja rahe hain amiron ke aishon ka ambar sar par lade hain zamane ke afkar sar par zamindar kandhe pe sarkar sar par mare ja rahe hain sharabon ke rasiya amiron ka kya hai hanse ja rahe hain gharibon ki mehnat ki daulat chura kar gharibon ki rahat ki duniya mita kar mahal apne ghaarat-gari se saja kar hanse ja rahe hain gharibon ne sambandh mil kar kiya hai khushi badh gai hai ki gham badh rahe hain nigahon se aage qadam badh rahe hain sambhalna amiro ki hum badh rahe hain badhe ja rahe hain