'saghar' kahan se aa gai dil mein dumon ki baat dum ke baghair aadmi lagta hai wahiyat milte hain ahl-e-fan ko yahin se muharrikat hoti thi dum subut mein is ke mohawraat ustad kah rahe the chhura dil pe chal gaya dum par hamari panw wo rakh kar nikal gaya hoti thi ek zamane mein har aadmi ke dum be-imtiyaz-e-mazhab-o-millat sabhi ke dum phule nahin samati thi mare khushi ke dum gardan mein dale phirte the aashiq kisi ke dum jata tha jab safar pe koi dum hilate the ek dusre se hath nahin dum milate the hota jo in dinon kahin dum-dar aadmi karta dumon se ishq ka izhaar aadmi rakhta bara-e-hifz na hathiyar aadmi dum ko chalata jaan ke talwar aadmi kyun jutiyan barstin kisi bad-khisal par mashuq dum ko marte aashiq ke gal par chadhta hai zehn-e-ishq pe jab ishq ka bukhar dil se ziyaada dum nazar aati hai be-qarar moti dumon se hota hai akasr sabhi ko pyar ek dum ke pichhe hote hain dum-chhalle be-shumar kya thi khabar ye rishta-e-jaan tut jaega hathon se meri dum ka sira chhut jaega shoala bara-e-ishq bhadakta nahin koi kam-zarf mai-kade mein chhalakta nahin koi tedhi dumon ke sath atakta nahin koi uljhi dumon ke pas phatakta nahin koi ek dum bahut hai sare shayatin ke liye kitni zaruri shai hai khwatin ke liye hum bhi unhin damon ke hamesha se fan hain izzat hain khandan ki jo mahfil ki zain hain thandak hain chashm-e-tar ki kaleje ka chain hain 'saghar' shab-e-firaq ye aashiq ke bain hain rakhiye khuda ke waste dum ko ghilaf mein kal shab tahal rahi thi hamare lihaf mein sau faede dumon ke hain kya kya ginaiye tare falak se tod ke dharti pe laiye phunne se dum ke chehre pe powder lagaiye chamcha na ho to chae bhi dum se chalaiye wo hi maqam-e-'ghaalib'-o-'iqbaal' paenge moti dumon ke samne jo dum hilaenge
This is a great ustad k liye shayari. True lovers of savitribai phule shayari marathi will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore humdum shayari. Please share if you liked this!!!