khali kamra gahri sansen kamre ke ek kone mein ek tuti-phuti mez mez pe duniya bhar ka gorakh-dhanda kath-kabad kath-kabad se thoda aage tirchha paper-weight paper-weight ke niche kaghaz kaghaz par lafzon ka dher dher ke pas ek tuti ainak ainak ke shishon ke pichhe mote mote harf ainak ke shishon se aage nile pile kale dhabbe dhabbon mein aundhe munh leti aish-tray mein murda sansen bujhti cigarette aur machis ki aadhi tili machis ki tili pe chipka chae ka chhilka aur ek tuti dandi ka cup cup se aage mez ka kona mez se aage jhulti kursi kursi par ek shakhs shakhs bhi wo jis ki aankhon mein duniya bhar ka dukh duniya bhar ke dukh ka hasil duniya bhar ka dukh!!