guzre hain bis baras ek din ek zor ki aandhi aai thi jis se pedon se juda ho kar lakhon hi patte tut gire shah-rahon par pagdandiyon par kheton mein aur futpathon par kuchh bah gae gande nalon mein bhangi ki jhadu ke sadqe lekin jo bach gae un ko hawa har-waqt udae phirti hai pachchhim ko kabhi purab ko kabhi wo bikhre pade hain ab har-su aur har-dam piste rahte hain bhaari-bharkam buton ke tale