duniya ki jannat

ye school ye mere khwabon ki jannat
ye widdya ka sagar kitabon ki jannat

yahan buddhimani ke sote rawan hain
yahan ki zamin par nae aasman hain

wo sab phul khilte hain jo is chaman mein
mahakte hain khilte hi sare watan mein

andhera nahin hai yahan raushni hai
yahan har taraf zindagi zindagi hai

yahan koi hangama hai aur na dar hai
yahi ekta aur mohabbat ka ghar hai

safar apna jari hai bas is yaqin se
uthega naya ek bhaarat yahin se

wo bhaarat ki jis mein sabhi ek honge
wo apne hon ya ajnabi ek honge

na koi kisi se bhi nafrat karega
har insan se insan mohabbat karega

chalo aaj mil-jul ke mangen duaen
chalen phir yahan ekta ki hawaen

phir apne watan ko hum aisa bana den
ki duniya mein duniya ko jannat dikha den


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close