golkunDa ke sae mein

golkunda husn-e-tahzib-o-tamaddun ka dayar
azmat-e-afsana-e-hasti ki zinda yaadgar

sar-bulandi se teri milta hai jhuk kar aasman
zarre zarre mein nazar aata hai mehr-e-zau-fishan

in fazaon mein pahunch kar aah kho jata hun main
gum khayalon ki hasin wadi mein ho jata hun main

samne rukte hain kitne karwan-e-rang-o-bu
jaise ye khamoshiyan karti hain mujh se guftugu

fikr ki rahon se chhat jata hai sadiyon ka ghubar
sans leti hain bahaaren jagte hain kohsar

pattharon ke dil dhadakne ki sada sunta hun main
phul umidon ke isi gulzar mein chunta hun main

waqt ke hathon mein hai aaina-e-sham-o-sahr
jagmaga utthe hain sare aarzu ke baam-o-dar

dekhta kya hun ki un sangin fasilon ke tale
dur tak phaile hue hain zindagi ke silsile

nur ke parcham nazar aate hain lahraate hue
jhum kar ek dastan-e-shauq dohraate hue

aasman se tut kar dharti pe aa jate hain khwab
kitne honton ka tabassum kitne chehron ke gulab

dilkashi afkar mein hai bankpan jazbaat mein
ek na-malum na-halchal hai mahsusat mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close