duniya ko kahan tak jaana hai ye kitna bada afsana hai sab kan lagae baithe hain aur raat sarakti jati hai ye raat kahan tak jaani hai kuchh is ka or-o-chhor nahin ye raat samundar hai jis mein aawaz bahut hai rone ki bas dur tilak tariki hai kuchh dur zara si raushaniyan phir tariki phir raushaniyan ye raat bala ki maya hai jo kuchh ka kuchh kar deti hai aankhon ko jagati hai barson phir nind ka dhakka deti hai phir khwab dikhati hai barson phir khwabon se chaunkati hai ye khel bhayanak raaton ka insan ki nannhi zaton ka khush hona aur dahal jaana phir aansu aansu gal jaana is khel mein jo bhi haar gaya phir mutthi se sansar gaya is khel mein phansna hai pyare bas hath mein jitni mitti hai us mitti se sansar bana use apne aansu ka pani use apne hijr ki garmi de use mausam mausam narmi de ise apne ang laga pyare use apne rang laga pyare duniya ko kahan tak jaana hai ye kitna bada afsana hai ye bhed na koi jaan saka is bhed ka chakkar bhaari hai