main nan-e-sokhta ka zaiqa utarta hun roz-o-shab zaban par ki us ki hamdami mein dosti mein umr ke nasheb mein agar main dhal sakun to fasl aaftab ka wo barg-e-zard ban sakun jo daere ki intiha pe sirf mausamon ke khwab dekhta hun subh-o-sham sochta hun aarzu fareb-kar shahida kahan mili thi aur kaun se hasin mod tak chalegi mere sath mere sath ju-e-ab ju-e-mai rida-e-khak dur ke safar ke log bad-guman saaton ke shahr main chalunga main dasht-o-kohsar ki udas hijraton ko nannhi-munni loriyan sunaunga main jangalon ki sansanahaton ke par jaunga