samundar ki kuchh bundon se baat ki wo bhi apne wajud ko le kar wyakul hain wishaal samundar mein kaha koi un ki hai sunta jabki un se hi samundar hai un ke bina samundar bas marusthal hai bunden din-raat prayatn karti hain ek bund dusre ko aage dhakel kar samundar ka wajud qaem rakhti hain un ko ehsas hai apne hone ka lekin samundar har bar is baat ko bhul jata hai sochon agar bunden widroh kar den bana kar dost suraj ko upar aakash mein baadal se mil jaen ho sakta hai dosti dhara se kar len us ke gart mein sama jaen sukh jaega samundar bundon ka wajud to hamesha bana rahega samundar ko abhiman kis baat ka kya pata kya use nahin pata kis ne kiya us ka wajud qaem mit jaega ek din bas bundon ko qadam widroh ka uthana hai