mere mahbub des ki galiyo tum ko aur apne doston ko salam apne zakhmi shabab ko taslim apne bachpan ke qahqahon ko salam umr bhar ke liye tumhaare pas rah gai hai shaguftagi meri aakhiri raat ke udas diyo yaad hai tum ko bebasi meri yaad hai tum ko jab bhulae the umr-bhar ke kiye hue wade rasm-o-mazhab ki ek pujaran ne ek chandi ke dewta ke liye jaane is kar-gah-e-hasti mein us ko wo dewta mila ki nahin meri kaliyon ka khun pi kar bhi us ka apna kanwal khila ki nahin aaj-kal us ke apne daman mein pyar ke git hain ki paise hain tum ko malum ho to batlana us ke aanchal ke rang kaise hain mujh ko aawaz do ki subh ki os kya mujhe ab bhi yaad karti hai mere ghar ki udas chaukhat par kya kabhi chandni utarti hai