bahu kahe ye budhiya meri jaan ki lagu ban ke rahegi sas kahe gaz-bhar ki zaban hai apni munh aai hi kahegi bahu kahe jab dekho jab hi khwahi nakhwahi baat badhana sas pukare ai mere allah tauba bhali ab tu hi bachana bahu kahe apna ghar kaisa yan to apne bhi hain parae sas kahe jal-bhun ke use to raj-mahal bhi ras na aae bahu kahe jis ke hathon hai doi usi ka sab koi hai sas pukare jao ji jao panw ki juti sar pe chadhi hai bahu kahe mujh janm-jali ko kis ke palle bandh diya hai sas kahe ab kaun batae aage jo aaya hai kis ka kya hai bahu kahe ye put ki dardi bas jo chale to bis hi khila de sas kahe wo baat hai apni gali sune aur phir bhi dua de bahu kahe ab sar pe padi hai jaise bhi ho guzar jaegi sas kahe jab dekho is ko dudh malida hi khaegi bahu kahe ji jo aata tha sas ke samne bol rahi thi sas bhi lekin turki-ba-turki bhed bahu ke khol rahi thi nanhe ne ye mauqa tada jhat bawarchi-khane pahuncha dudh pe aai thi jo milai chupke se us ko khane pahuncha kha ke jo lauta rah mein us ne kali billi jate pai dekh ke us ko dar ke mare zor ki us ne chikh lagai ek hi chikh ne us ki pal mein sas bahu ka jhagda chukaya daudi bahu mere lal hua kya sas pukari hae khudaya