hum bhi aaram utha sakte the ghar par rah kar hum ko bhi pala tha man-bap ne dukh sah sah kar waqt-e-rukhsat unhen itna bhi na aae kah kar god mein aansu kabhi tapke jo rukh se bah kar tifl un ko hi samajh lena ji bahlane ko desh sewa hi ka bahta hai lahu nas nas mein ab to kha baithe hain chittaud ke gadh ki qasmen sarfaroshi ki ada hoti hain yun hi rasmen bhai khanjar se gale milte hain sab aapas mein bahnen tayyar chitaon pe hain jal jaane ko naujawanon jo tabiat mein tumhaari khatke yaad kar lena kabhi hum ko bhi bhule-bhatke aap ke uzw-e-badan howen juda kat kat ke aur sad-chaak ho mata ka kaleja phatke par na mathe pe shikan aae qasam khane ko apni qismat mein azal se hi sitam rakkha tha ranj rakkha tha mehan rakkha tha gham rakkha tha kis ko parwah tha aur kis mein ye dam rakkha tha hum ne jab wadi-e-ghurbat mein qadam rakkha tha dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko apna kuchh gham nahin hai par ye khayal aata hai madar-e-hind pe kab se ye zawal aata hai desh aazadi ka kab hind mein sal aata hai qaum apni pe to rah rah ke malal aata hai muntazir rahte hain hum khak mein mil jaane ko