khuda-e-bartar hamari chikhen hamare sinon mein jam gai hain tamam sathi tamam ghayal hamare qatil bane hue hain kabhi to un ke tamam chhaale hamare khun ko jala rahe hain kabhi ye sare alil insan gurez-o-tanz-o-jafa ke aare chala rahe hain jawab kya den khuda-e-bartar unhen shifa de ki hum wo apne tamam rangon ki kaenaten unhen dikhaen jo kitni sadiyon se ban ke lawa hamare sinon mein jal rahi hain