tumhaara kya hai ki tum hazaron dilon ki dhadkan tumhaara kya hai ki ek ishaare pe phul kaliyan tumhaare qadmon mein aa gire hain na jaane kitni hi sar-zaminon ke tum falak ho na jaane kitne hi tishna jismon ka chain ho tum hamara kya hai ki na-rasai ki dastan ka bane hain unwan hamara kya hai ki umr sari bitai hum ne to wahshaton mein ki tum se wabasta ho ke hum ne jo dard paya wo dard chehre ki malgaji rut ka istiara bana hua hai ye dard wo hai jo baqi-manda hayat ka aasra bana hai ye dard wo hai jo aane wali kisi bhi saat mein raushni ka naqib hoga ki hum to wo hain tumhaari yaadon ki shoalagi mein jala ke khud ko hai sabr karna andher-nagri mein jabr karna hai ab bhi baqi