mere jism mein zahr hai tera mera dil hai tera ghar tu maujud hai sath hamesha khauf sa ban kar sham-o-sahar tera asar hai mere lahu par jaise chand samundar par itni zard hai rangat teri jam jati hai us pe nazar tu hai saza mere hone ki ya hai mera zad-e-safar karega tu bimar mujhe ya banega na-malum ka dar rahega daim gahri tah mein jaise andhere mein koi dar gum kar dega rah mein mujh ko ya dega manzil ki khabar tu hai mera dost ki dushman ye to bata mujh ko ai zar