aata hai yaad mujh ko guzra hua zamana wo bagh ki bahaaren wo sab ka chahchahana aazadiyan kahan wo ab apne ghonsle ki apni khushi se aana apni khushi se jaana lagti hai chot dil par aata hai yaad jis dam shabnam ke aansuon par kaliyon ka muskurana wo pyari pyari surat wo kaamani si murat aabaad jis ke dam se tha mera aashiyana aati nahin sadaen us ki mere qafas mein hoti meri rihai ai kash mere bas mein kya bad-nasib hun main ghar ko taras raha hun sathi to hain watan mein main qaid mein pada hun aai bahaar kaliyan phulon ki hans rahi hain main is andhere ghar mein qismat ko ro raha hun is qaid ka ilahi dukhda kise sunaun dar hai yahin qafas mein main gham se mar na jaun jab se chaman chhuta hai ye haal ho gaya hai dil gham ko kha raha hai gham dil ko kha raha hai gana ise samajh kar khush hon na sunne wale dukhte hue dilon ki fariyaad ye sada hai aazad mujh ko kar de o qaid karne wale main be-zaban hun qaidi tu chhod kar dua le!