pahle din baadal zakhmi ho gae dusre din sitare aur tisre din bahut si goliyan nile aasman ko ja lagin aur wo siyah ho gaya aansuon ki tarah koi chiz zamin par girne lagi kabhi khamoshi ke sath bahut sari bunden aur kabhi sadak par shor machata hua mosla-dhaar pani zakhmi aasman buri tarah ro raha tha us ne apna chehra bahut sare baadalon se dhaka hua tha hum use hansane ki koshish mein bahar nikalte to barish aur tez ho jati siyah aur matyali kichad apne juton mein lagae hum phir ghar mein aa jate aasman ke aansu qalin mein jazb ho jate ya hamare kapdon ke sath sare ghar mein phail jate pakke farsh par hamare kichad bhare pairon ke nishan aasman ke zakhmon ki tarah kabhi halke aur kabhi gahre ho jate aasman ki taraf jaane wali duaen tez barish ke sath wapas aa kar gili mitti mein ghaeb ho jatin chhoti chhoti chhatriyan aasman ki ya hamari qismat ke liye na-kafi thin aise mausam mein thodi der ke liye agar wo firing band kar dete to shayad hamari tarah aasman bhi achchha ho jata pahle se ziyaada nila aur chamakdar