ek ladki ne aaina dekha aaine mein khile hue the phul aaine mein charagh jalte the aaina ek rahguzar tha jahan khwab khwabon ke sath chalte the aaine mein bana hua tha bagh bagh mein sham hone wali thi (sham ke phailte andhere mein ladkiyan bagh mein nahin jatin) aaine mein na tha koi dariya aaine mein na tha koi jangal aaine mein na tha koi sahra aaine mein na tha koi baadal aaine mein bas ek samundar tha (ladkiyan jis se darti rahti hain) aur samundar ki nil-gun tah mein ek ladki ne aaina dekha aaine mein khile hue the phul aaine mein charagh jalte the aaina ek rahguzar tha jahan khwab khwabon ke sath chalte the