ram ban-bas se jab laut ke ghar mein aae yaad jangal bahut aaya jo nagar mein aae raqs-e-diwangi aangan mein jo dekha hoga chhe december ko shri ram ne socha hoga itne diwane kahan se mere ghar mein aae jagmagate the jahan ram ke qadmon ke nishan pyar ki kahkashan leti thi angdai jahan mod nafrat ke usi rahguzar mein aae dharm kya un ka tha, kya zat thi, ye jaanta kaun ghar na jalta to unhen raat mein pahchanta kaun ghar jalane ko mera log jo ghar mein aae shakahaari the mere dost tumhaare khanjar tum ne babar ki taraf phenke the sare patthar hai mere sar ki khata, zakhm jo sar mein aae panw sarju mein abhi ram ne dhoe bhi na the ki nazar aae wahan khun ke gahre dhabbe panw dhoe bina sarju ke kinare se uthe ram ye kahte hue apne dware se uthe rajdhani ki faza aai nahin ras mujhe chhe december ko mila dusra ban-bas mujhe