sadr-e-jamhuriya-e-hind yaqinan aap fakhruddin bhi naz-e-umam bhi hain ali-ahmad bhi hain aagah aadab-e-haram bhi hain waqar-e-hosh bhi azmat-faroz-e-ilm-o-danish bhi girami-qadr bhi zi-tamkanat bhi mohtaram bhi hain tab-o-tab-e-chaman bhi zauq-e-tamkin-e-bahaaran bhi jahan-e-shauq ka afsana-e-jah-o-hasham bhi hain karishma hai khuda ka aap ke ausaf ke qail dayar-e-barahman ke dewta bhi hain sanam bhi hain taqaddus mauj-e-dariya ka latafat aabgine ki mujassam shaukat-e-dauran sarapa jam-e-jam bhi hain jalal-e-barq bhi hain zalimon ke waste lekin gharibon ke liye sarmaya-e-lutf-o-karam bhi hain jo nisbat aap ko 'ghaalib' se hai us ke talluq se qadam-bosi ke khwahan sahib-e-saif-o-qalam bhi hain