udasi ghani aur gahri udasi ka saya shagufon ki sargoshiyan chand chehron ke khake nigahon ke mauhum se daeron mein koi ajnabi be-zaban raushni ye na farda na maujud ye munqalib ho raha hai jo lamha agar ye amal hai to sirf amal hai lab-e-ju-e-mai khamushi aur said-e-fughan koi harf-e-takallum kahin rahguzar par mere chashm-o-lab aur aawaz se raushni ki kashakash bahut fasla hai mere aur mere tasawwur ke sahil mein us se pare ek jahan-e-digar hai lab-e-ju-e-mai gharq-e-afaq hun dusri bar shayad janm le raha hun