wo jo astronaut chand se aae hain pata nahin kaha se jhuti taswiren lae hain koi bata do un ko koi bata do un ko mera chand kaisa dikhta hai kabhi dekhna punam ki raat mein ek dhudli dhundli si chhawi nazar aaegi jaise koi bachcha man se lipta ho wo jo astronaut chand se aae hain pata nahin kahan se jhuti taswiren lae hain kahte hain chand marusthal hain are main ne to kai raaten chand ke pani se pi kar guzar di ek raat badh aa gai chand par subh gila takiya main ne dhup mein sukhaya tha wo jo astronaut chand se aae hain pata nahin kaha se jhuti taswiren lae hain chand ki badalti chandni se kai dil jude hain wo chand ki athkheliyon ko koi wigyan batate hain kahte hain ek upgrah hai are hum to bachpan se mama kahte hain wo jo astronaut chand se aae hain pata nahin kaha se jhuti taswiren lae hain wo jo sharma ke pal bhar ke liye chhup jata hai use ai chandr par grahan kahte hain unhen kya pata kaise guzarta hun main amawas ki raaten bina us ke wo jo astronaut chand se aae hain pata nahin kaha se jhuti taswiren lae hain mujhe lagta kisi ghalat pate par chale gae the ai astronaut aur chand se hai un ki purani dushmani is liye sara dosh chand ko dete hain wo jo astronaut chand se aae hain pata nahin kaha se jhuti taswiren lae hain wo jo astronuat chand se aae hain pata nahin kaha se jhuti taswiren lae hain