andhera hai abhi tum apne honton ko yunhi mere labon se muttasil rakho abhi us waqt tak thame raho mere badan ko apni banhon se ki jab tak ek dhamake se phate aatish-fishan jismon ka aur kitne hi qarnon ki chhupi hiddat bahe lawe ki surat mein ki jab tak saeran ki chikhti makruh mausiqi faza ko phad de aur jagmagaen bijliyan har su