ai man ai man tujh ko salam bhaarat-mata ko parnam tu to kaisi pyari man hai sab maon se achchhi man hai lad uthane wali man hai apni man hai apni man hai mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam teri mang mein ganga jal hai bhara para tera aanchal hai hariyali hai phul hai phal hai teri god sukh-mandal hai mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam sab se unche parbat wali sab se badh kar shaukat wali sab se bhaari daulat wali izzat wali azmat wali mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam teri chhati dharm samundar jis ki maujen masjid mandir donon ki hai gunj barabar allah allah ishwar ishwar mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam hindu muslim gore kale prem ki daru ke matwale sab hain teri god ke pale sab hain baat pe marne wale mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam tere dudh ki sab mein taqat ulfat izzat himmat jurat teri duaen fath-o-nusrat tere panw ke niche jannat mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam ab to lutere tujh ko lauten be-bhugte bhugtan na chhuten hath mein dhun ho bazu tuten ghur ke dekhen aankhen phutin mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam tujh se aashirbaad jo paen aarzu aise bhi tan jaen bijli ban kar aafat dhaen dur hun phir to sari balaen mata ko parnam ai man ai man tujh ko salam ai man ai man tujh ko salam bhaarat-mata ko parnam