kah nahin sakta kahan se aae ho, tum kaun ho aisa lagta hai ki ye surat hai pahchani hui khak mein raunda hua chehra magar ek dilkashi aankh mein halka tabassum, dil mein koi tis si panw se lipti hui bite hue lamhon ki gard pairahan ke chaak mein gahre ghamon ki tazgi pursish-e-gham par bhi kah sakna na apne ji ka haal kuchh kaha to bas yahi ki tum pe kuchh biti nahin rah mein chalte hue thokar lagi aur gir pade yunhi kante chubh gae hain, phat gai hai aastin yaad aata hai ki tum mujh se mile the pahli bar ek kahani mein na jaane kis ki thi likkhi hui aur main ne is tarah ke aadmi ko dekh kar dil mein socha tha ki us se aaj kar lun dosti!