ye bhi raat guzar rahi he kamre ki bikhri chizen samette hue tumhaare jaane ke baad tumhaari chahal-qadmiyan ghumti rahti hain dil ke aangan mein gunjti rahti hain tumhaari sargoshiyan mere kanon mein bistar ki silwaten munh chidhane lagti hain is bar cigarette ke jale hue tukdon par mahsus karti hun tumhaare honton ka lams idhar-udhar bikhre hue tumhaari baaton ke dher chae ki jhuti pyaliyan ek ek ko uthati hun aur rakhti jati hun yaadon ki almari mein jis mein pahle hi se maujud hain tumhaari muskurahaton ki gathriyan balcony se jhankta hua chand mahakti hui raat ki rani kitna kuchh sametna baqi he abhi mere mathe par tumhaare honton ka lams tumhaare nam ka wird karti hui dhadakne thak kar chur ho gai hun khud ko samette hue aur aasman par chamakta hua aakhiri sitara bhi is bar dub jaana chahta hai mere sath tumhaari yaado ke be-karan samundar mein