tamam khwabon ki aankhen adhure fasane ke aakhiri git ko tumhaari aankhon se sunna chahengi dard fasurda raaton ke zard chehre tumhaari parchhaiyon mein panah dhundenge raushan yaadon ke murda murjhae badan kanch ki moti dhundli diwar mein dafn rahenge ummidon ke janaze roz uthenge chikhon ke halq se zabanen khinch li jaengi aahon ke qad katwa diye jaenge tumhein purkarungi bhi to kaise magar ta-umr ye nazren tumhein dhundengi