kis zaban se kah rahe ho aaj tum saudagaro dahr mein insaniyat ke nam ko uncha karo jis ko sab kahte hain hitler bhediya hai bhediya bhediye ko mar do goli pae-amn-o-baqa bagh-e-insani mein chalne hi pe hai baad-e-khizan aadamiyyat le rahi hai hichkiyon par hichkiyan hath hai hitler ka rakhsh-e-khud-sari ki bag par tegh ka pani chhidak do germany ki aag par sakht hairan hun ki mahfil mein tumhaari aur ye zikr nau-e-insani ke mustaqbil ki ab karte ho fikr jab yahan aae the tum saudagari ke waste nau-e-insani ke mustaqbil se kiya waqif na the hindiyon ke jism mein kya ruh-e-azadi na thi sach batao kya wo insanon ki aabaadi na thi apne zulm-e-be-nihayat ka fasana yaad hai company ka phir wo daur-e-mujrimana yaad hai lutte phirte the jab tum karwan-dar-karwan sar-barahna phir rahi thi daulat-e-hindostan dast-karon ke anguthe katte phirte the tum sard lashon se gadhon ko patte phirte the tum sanat-e-hindostan par maut thi chhai hui maut bhi kaisi tumhaare hat ki lai hui allah allah kis qadar insaf ke talib ho aaj mir-jafar ki qasam kya dushman-e-haq tha 'siraj' kya awadh ki begamon ka bhi satana yaad hai yaad hai jhansi ki rani ka zamana yaad hai hijrat-e-sultan-e-dehli ka saman bhi yaad hai sher-dil 'tipu' ki khunin dastan bhi yaad hai tisare faqe mein ek girte hue ko thamne kas ke tum lae the sar shah-e-zafar ke samne yaad to hogi wo matiya-burj ki bhi dastan ab bhi jis ki khak se uthta hai rah rah kar dhuan tum ne qaisar-e-bagh ko dekha to hoga barha aaj bhi aati hai jis se hae 'akhtar' ki sada sach kaho kya hafize mein hai wo zulm-e-be-panah aaj tak ragoon mein ek qabr hai jis ki gawah zehn mein hoga ye taza hindiyon ka dagh bhi yaad to hoga tumhein jallianwala-bagh bhi puchh lo is se tumhaara nam kyun tabinda hai 'dyer'-e-gurg-e-dahan-alud ab bhi zinda hai wo 'bhagat-singh' ab bhi jis ke gham mein dil nashad hai us ki gardan mein jo dala tha wo phanda yaad hai ahl-e-azadi raha karte the kis hanjar se puchh lo ye qaid-khanon ke dar-o-diwar se ab bhi hai mahfuz jis par tantana sarkar ka aaj bhi gunji hui hai jin mein kodon ki sada aaj kashti amn ke amwaj par khete ho kyun sakht hairan hun ki ab tum dars-e-haq dete ho kyun ahl-e-quwwat dam-e-haq mein to kabhi aate nahin banki akhlaq ko khatre mein bhi late nahin lekin aaj akhlaq ki talqin farmate ho tum ho na ho apne mein ab quwwat nahin pate ho tum ahl-e-haq raushan-nazar hain ahl-e-baatin kor hain ye to hain aqwal un qaumon ke jo kamzor hain aaj shayad manzil-e-quwwat mein tum rahte nahin jis ki lathi us ki bhains ab kis liye kahte nahin kya kaha insaf hai insan ka farz-e-awwalin kya fasad-o-zulm ka ab tum mein kas baqi nahin der se baithe ho nakhl-e-rasti ki chhanw mein kya khuda-na-karda kuchh moch aa gai hai panw mein gunj tapon ki na aabaadi na virane mein hai khair to hai asp-e-tazi kya shifa-khane mein hai aaj kal to har nazar mein rahm ka andaz hai kuchh tabiat kya nasib-e-dushmanan na-saz hai sans kya ukhdi ki haq ke nam par marne lage nau-e-insan ki hawa-khwahi ka dam bharne lage zulm bhule ragni insaf ki gane lage lag gai hai aag kya ghar mein ki chillane lage mujrmon ke waste zeba nahin ye shor-o-shain kal 'yazid' o 'shimr' the aur aaj bante ho 'husain' khair ai saudagaro ab hai to bas is baat mein waqt ke farman ke aage jhuka do gardanen ek kahani waqt likkhega nae mazmun ki jis ki surkhi ko zarurat hai tumhaare khun ki waqt ka farman apna rukh badal sakta nahin maut tal sakti hai ab farman tal sakta nahin
This is a great hindi shayari video. True lovers of azadi shayari 15 august will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this bhagwan aur insaan shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!