wo din jo guzre hain bholi bisri hikayaten hain ki doston se na koi shikwa na dushmanon se shikayaten hain kuchh aisa lagta hai jaise ab tak main rail mein tha bura bhala jo tha aane jaane ke khel mein tha shajar shajar thin hiqaraten bhi mohabbaten bhi shuur-e-gham ke muzahire bhi masarraten bhi jo muskurae the un ke haalat mukhtalif the jo gham uthae the un ki raat mukhtalif thi jo sath chalte the un ki majburiyan bahut thin kuchh itne majbur the ki apnon se dur the duriyan bahut thin ye jitna jo kuchh hai jaisa kuchh hai kuchh itna dilchasp hai ki ek din main us taraf aaunga dobara agar meri baat mein hua to main khud ko dohraunga dobara