ehsan faramosh

dubne se jab bachaya main ne un ko tair ke
to wisiting card apna de ke wo kahne lage

shukriya mumkin nahin hai aap ke ehsan ka
phir bhi mujh se is pate par aap miliyega zara

dekhte hi card un ka khil gaya dil ka gulab
chief editor the literary risale ke janab

dusre din un se milne jab main daftar mein gaya
sath sofe par bithaya chae ka order diya

phir kaha ye de ke mujh ko ek moti si raqam
gar qubul uftad zahe izz-o-sharaf ai mohtaram

main ne wapas ki raqam kah ke ki hazrat shukriya
apni ghazlon ka pulanda un ke aage rakh diya

padh ke wo ghazlon ko meri bole ye tahqir se
aap to shair bade hain 'shad' 'ghaalib' 'mir' se

'jami' sahab zara ek aur ehsan kijiye
ab mujhe talab hi mein dub marne dijiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close