ye zard mausam ke khushk patte hawa jinhen le gai uda kar agar kabhi un ko dekh pao to soch lena ki un mein har barg ki numu mein ziyan gaya araq shakh-e-gul ka kabhi ye sarsabz konplen the kabhi ye shadab bhi rahe hain khile hue hont ki tarah narm aur shagufta bahut dinon tak ye sabz patte hawa ke relon mein bebasi se tadap chuke hain magar ye ab khushk ho rahe hain magar ye ab khushk ho chuke hain agar kabhi is taraf se guzro to dekh lena barahna shakhen hawa ke dil mein gadhi hui hain ye ab tumhaare liye nahin hain nahin hain