ehsas ki mahngai bahut badh gai hai aaj kal koi nazmen kharidne nahin aata tumhaare sirhane mere hathon ki lakiren rakkhi hain yaqin nahin to tatol kar dekh lena ye waqt ki hi gustakhi hai jo guzarne se kabhi baz nahin aata agar main thahra hua na hota to na jaane waqt kaise guzarta is khali ashtray mein tere nam wale ehsas ko kash mar kar bujha diya hai hum ne tumhaare ishq ke mathe par ye kaisi jhurriyan pad gai hain budhape ke alawa aur kya hasil hua ek budha nadi ke kinare khada suryast dekh raha tha kuchh logon ke na ghar mein aaina hota hai aur na zindagi mein