tum samajhte ho ye shab aap hi dhal jaegi khud hi ubhrega nai subh ka zarrin parcham main samajhta hun kisi subh-e-darakhshan ke ewaz qahr ki ek nai raat ko degi ye janam aur us raat ki tariki mein kho jaenge maktab o khanqah o dair o kalisa o haram dew-e-zulmat ki thokar se na paenge panah ye shiwale, ye masajid, ye pujari, ye sanam rakh diye jaenge shamshir ke zer-e-saya dast-e-matam lab-e-fariyaad, zaban o tanqid barf jam jaegi afkar ke gulzaron par yakh hawaon mein hi jam jaegi kisht-e-ummid chandni zulmat-e-sayyal mein dhal jaegi raat ki mang sanwaregi shua-e-ummid ahl-e-fan denge andheron ko ujalon ka laqab zahr ko qand, moharram ko kaha jaega id ye mera wahm nahin, nowel o afsana nahin dosto! ghaur karo, aur nigahen to uthao wo jo ek surkh sitara hai ufuq ke nazdik kuchh tumhein ilm hai kis rukh pe hai us ka phailao kash tum us ki haqiqat pe nazar dal sako hai ye ek aatish-e-sad-barq-badaman ka alaw is ki kirnon mein hai chalti hui talwar ki kat is ki surkhi mein hai umde hue dariya ka bahaw is ke daman mein hai aasuda wo fitna jis se jism to jism mayassar nahin ruhon ko aman dil, nazar, zehn, khayalat, usul o aqdar sab ke sab is ki tag-o-taz se larzan tarsan is ki parchhain bhi pad jae to sabza jal jae dekhte dekhte mahaul pe chha jae dhuan is ke shoalon ka to kya zikr ki shoale thahre is ki shabnam bhi gulistan ke liye barq-e-tapan