wo bulbul jo khizan-rut mein mere ghar ke qarib ek ped ki tahni pe tanha baith kar mujh ko malal-o-yas ke naghme sunata tha khushi se aaj pagal ho raha hai subh se kaif-o-masarrat ke tarane ga raha hai aur mere baramde mein bar bar aa kar mujhe uksa raha hai apne bistar se utho kamre se bahar ka saman dekho bahaar aai hai dekho har taraf sabza hi sabza hai gul-o-lala se dharti saj gai hai aur parinde chahchahate git gate jashn karte phir rahe hain aasman qaus-e-quzah ke sat rangon aur patangon se muzayyan hai nazara karne walon ke liye har samt jannat hai magar wo bulbul-e-sada ye kya jaane ki jab tak wo gulabi-ru saped-o-surkh mein malbus wo paikar wo meri ham-sukhan ham-ruh jaan-e-jaan na mere ru-ba-ru hogi mera ye dil ki jis par is samay pazhmurdagi ke gahre sae hain ise ehsas-e-fasl-e-gul nahin hoga