hum wo insan hain jin ki dahshat se sahme hue hain darinde talak hum wo insan hain dam-ba-khud jin ke shar se hai shaitan bhi hum wo insan hain apne hi khun mein hath jin ke hain lithde hue hum wo insan hain dudh pite bilakte hue tifl se bhi jinhen khauf hai hum wo insan hain apni wahshat mein jo masjidon mandiron dars-gahon kalisaon tak ko nahin bakhshte hum wo insan hain jo faqat rang aur nasl ke farq par maslak-o-din ke nam par khun bahate hain nahaq bade fakhr se aisi pasti ki daldal mein hum dhans chuke jis se bahar nikalne ki koi bhi surat nahin han magar ek rassi to hai sare mil kar use hum agar tham len khauf wahshat adawat ki daldal se bahar nikal aaenge ahd-e-hazir ke insan ke daman par jitne bhi dagh hain sare dhul jaenge