mah-o-anjum kanwal sitare suno jab wo mah-wash nahin hai apne pas baad-e-abr-e-bahaar hai be-kaif chandni muzmahil hai chand udas us ki furqat ka kis qadar ehsas halki halki phuwar se goya bhigta ja raha hai shab ka libas hijr ki raat ye faza-e-hasin aur kuchh badh gai hai dil ki yas us ki furqat ka kis qadar ehsas mahki mahki hawaen be-lazzat nighat-e-zulf-e-gul na aai ras aaj ki shab mein dil-figaron ko ab kahan hosh aur kaisa hawas us ki furqat ka kis qadar ehsas aaj us ke baghair ai pasha jaise phulon mein ho na koi bas jaise kali ghataen lagti hon muzmahil muzmahil udas udas us ki furqat ka kis qadar ehsas