jab rahen sab masdud huin sab nist huin nabud huin dushman ko khojte phirne ki thin kawishen jo be-sud huin paspaiyan jo maujud na thin ek aan mein aa maujud huin main soch ke ek dorahe par hairan aazurda aa pahuncha ye sari tag-o-dau tanha thi is mod pe bhi tanha pahuncha lekin is tanha manzar mein ek chehra aur ubhar aaya jo saf nazar aaya na kabhi ab itne qarib nazar aaya wo chehra dushman ka chehra is rup mein pahli bar mila kabhi zat ke har manzar mein mere kabhi manzar ke us par mila main khub use pahchan gaya jis rup mein wo jis bar mila phir apne dil pe nazar jo ki aamada pae-paikar mila phir main ne kisi takhir bina ek war bahut saffak kiya khud apna gareban chaak kiya