ufuq-e-rus se phuti hai nai subh ki zau shab ka tarik jigar chaak hua jata hai tirgi jitna sambhalne ke liye rukti hai surkh sail aur bhi bebak hua jata hai samraj apne wasilon pe bharosa na kare kohna zanjiron ki jhankaren nahin rah saktin jazba-e-nusrat-e-jamhur ki badhti rau mein mulk aur qaum ki diwaren nahin rah saktin sang-o-ahan ki chattanen hain awami jazbe maut ke rengte sayon se kaho hat jaen karwaten le ke machalne ko hai sail-e-anwar tira-o-tar ghataon se kaho chhat jaen sal-ha-sal ke bechain shararon ka kharosh ek nai zist ka dar baz kiya chahta hai azm-e-azadi-e-insan ba-hazaran jabrut ek nae daur ka aaghaz kiya chahta hai bartar aqwam ke maghrur khudaon se kaho aakhiri bar zara apna tarana dohraen aur phir apni siyasat pe pasheman ho kar apne nakaam iradon ka kafan le aaen surkh tufan ki maujon ke jakadne ke liye koi zanjir-e-giran kaam nahin aa sakti raqs karti hui kirnon ke talatum ki qasam arsa-e-dahr pe ab sham nahin chha sakti