us samt na jaana jaan meri us samt ki sari raushaniyan aankhon ko bujha kar jalti hain us samt ki ujli mitti mein nagin aashaen palti hain us samt ki subhen sham talak honton se zahr ugalti hain us samt na jaana jaan meri us samt ke aangan maqtal hain us samt dahakti galiyon mein zahrili bas ka jadu hai us samt mahakti kaliyon mein kafur ki qatil khushbu hai us samt ki har dahliz tale shamshan hai jalte jismon ka us samt faza par saya hai be-mani mubham ismon ka us samt na jaana jaan meri us samt ki sari phul-jhadiyan barud ki tal mein dhalti hain us samt ke patthar raston mein munh-zor hawaen chalti hain us samt ki sari raushaniyan aankhon ko bujha kar jalti hain us samt ke wahmon mein ghar kar kho baithogi pahchan meri us samt na jaana jaan meri