main is khayal mein tha bujh chuki hai aatish-e-dard bhadak rahi thi mere dil mein jo zamane se main is khayal mein tha ho chuki hai aag wo sard wo ek shola-e-dard-afrin mata-e-hayat main is khayal mein tha main use bacha na saka guman ye tha ki wo ek shoala-e-hayat-afroz hawa-e-paris-o-london ki tab la na saka main sochta tha ki shayad bhula chuka hun tujhe jo apne dil ki kahani tujhe sunana thi wo apne saz-e-ghazal par suna chuka hun tujhe kuchh aisa mujh ko guman tha tufail-e-marham-e-waqt koi bhi ghaw ho ek roz bhar hi jata hai zamana waqt ke parde pe har ghadi shayad naya tilism nai dilkashi sajata hai jo hain rafiq-e-dil-o-jaan un aansuon ki qasam tere huzur abhi tak jo bar pa na sake jinhen hai tujh se siwa teri aabru ka khayal jo dil mein ruk na sake aur mizha tak aa na saka mila hun aaj main tujh se to waswase ye tamam mite khayal ki duniya se misl-e-naqsh-bar-ab pata chala ki wo shoala bujha nahin hai abhi bas itni baat hai ab jal raha hai zer-e-naqab naqab-e-waqt-o-masafat ke do dabiz hijab guzar gai teri furqat mein zindagi jitni adn ki subh ki paris ki raat mein guzri dil o nazar ke kisi wardat mein guzri ki ek hasina-e-alam se baat mein guzri faqat wo ek nadamat hai aur kuchh bhi nahin aur aaj meri nadamat ka ye shadid ehsas har ek sans mein mujh se sawal karta hai hawas hai ishq se kitne qadam? do-chaar qadam? kiya hai fasla un mein kai hazar qadam? piccadily mein bhi hum yaad the tujhe ki na the pigalle mein bhi khalish koi dil mein thi ki na thi wo sham thames ki ab bhi nazar mein hai ki nahin ki jab hawas ki nazar par koi hijab na tha wo sath-e-bahr pe raqsan jahaz ka arsha aur us pe chaar taraf ek nur ka aalam ki jaise barq-e-tajalli-e-tur ka aalam walentia mein wo raqs-e-barahnagi ke tilism teri nigah-e-tamasha ko kuchh jhijak to na thi ye ek sawal ki jis ke hazar pahlu hain main ek lamhe ko jab in pe ghaur karta hun to sochta hun ki main tujh se ab malun na malun