meri aankhon mein hai be-khwabi ke nashtar chubhan har taraf tira-shabi, har taraf ek ghutan koi shoala na kiran sard hone ko hai dil ki dhadkan tak rahi hai mujhe kis hasrat se mere bistar ki har ek dard se bharpur shikan das na le dil ko ye tanhai ke ehsas ki kali nagan ai mere khwab ki dil-kash pariyo gungunati hui zulfon ki ghata surkh rukhsar damakte hue lab nashsha-e-chashm-e-fusun-saz liye marmarin jism liye shoala-e-awaz liye aa sako aaj agar aa jao meri tanhai ko chamka jao sard hai aatish-e-dil apne aanchal ki hawa se use dahka jao!